Monday, February 23, 2009

Aakhri mukaam


Aaj samzh liya hai jise, Mohabat us sheh ka Naam hai..

Hazaron baharen dikha kr, Barbaadiyan iska Anjaam hai..

Andheron ke aagosh mein khone se pehle,Cheekhti dardnaak Shaam hai..

Bewafai se pehle de itni khushiyan, Phir bhi taawayf ki tarha Badnaam hai..

Zindgi sajane ke liye dhundta raha jise ''MADY'', maloom hua Maut us mohabat ka aakhri Mukaam hai..

Monday, February 9, 2009

Dastaan-e-katal



Saye me jiski bahut khwaab dekhe ..
aaj wo deewaar thokar se gira di mere katil ne

Jo aankhen uske didaar ko rehti thi pyaasi...
aaj unse barsaat aansuon ki kradi mere katil ne

Jis dil ko mohabat ki bahar dikhayi thi usne..
zakham de phir usse banzar bna diya mere katil ne

Rang bhare the the khushiyon ke jis hatheli pr..
aaj uspe lakeer maut ki bna di mere katil ne

Soone din aur dardnaak raatein sila mohabat ka jo diya
to hasrat maut ki dil me jgaa di mere katil ne

Maangne maut jo pahuncha main uske darr pe..
kasam de jeene ki zinda lash bna diya mere katil ne

Jb b MANTESHWAR ko tadap-tadap marte dekha..
to har baar muskura diya uske katil ne :-)

Emotions of mAd..!!

Sometimes The depth of Human Emotions Overshadows The Mind in Control, A maze of Emotions Encloses My Thoughts; My Very Soul,Only leaving a breathless Motion,The decision to Only Move On .. All weak,All alone..