
Janay kyou shikast ka azaab liye phirta hoon
Mein kya hoon aur kya khuwab liye phirta hoon
Us nay ik baar kiya tha sawal-e-muhabat
Mein har lamha wafa ka jawab liye phirta hoon
Us nay poocha kab say nahi soye
Mein tab say jagi hui raton ka hisaab liye phirta hoon
Us ki khuwahish thii k meri aankhon mein pani dekhay
Mein us waqt say aansoun ka sailaab liye phirta hoon
Afsoos yeh k phir bhi wo meray na hua
Mein jis ki arzoo ki kitab liye phirta hoon.
No comments:
Post a Comment