Sunday, October 18, 2009

Dastaan-e-Katal




Saaye mein jiski bahut khwaab dekhe…

Aaj wo deewaar thokar se gira’di Mere Katil ne.

Jo aankhen uske didaar ko rehti thi pyaasi…

Aaj unse barsaat aansuon ki krwadi Mere Katil ne.

Jis dil ko mohabat ki bahar dikhayi thi usne…

Zakham de phir usse banzar bana diya Mere Katil ne.

Rang bharey the khushiyon ke jis hatheli per…

Aaj usper lakeer maut ki bana di Mere Katil ne.

Sooney din aur dardnaak raatein sila mohabat ka jo diya…

To hasrat maut ki dil me jaga di Mere Katil ne.

Maangne mout jo pahuncha main usne darr per…

Kasam de jeene ki zinda lash bana diya Mere Katil ne.

Jab bhi “Mantesh” ko tadap-tadap martey dekha….

To har baar muskura diya Uske Katil ne

-- Manteshwar

No comments:

Post a Comment

Emotions of mAd..!!

Sometimes The depth of Human Emotions Overshadows The Mind in Control, A maze of Emotions Encloses My Thoughts; My Very Soul,Only leaving a breathless Motion,The decision to Only Move On .. All weak,All alone..